Fitness-freek kahiye ya social circle maintain karne ke ichhuk log, apni apni nayi chamchamati BMWs, Mercs, Skodas, Hondas ya deshi Maruti Ballenos se utar us park ki raunak badha rahe the. Kuchh patra Joggers’ Park ki yaaden taza kara rahe the to chand log Baba Ram Dev Kankhalwale ke bhakt bane apni apni dhonkaniyan chala rahe the.
Han madhyam-vargiya log bhi wahan paye jaate the, jo wahan tak ka safar apni Maruti Swifft- Zen- Ritz , Getz, I-10/20 men pura karte the ya sarvajanik yatayat ke sahare wahan pahunch bade logon ke rele men shumar ho jate the.
Bahak gaya bhai, is ‘morning walk’ ki baaten detail men fir kabhi, un subaha subaha putte hue chehron, padded bra aaur teeshirts ke milejule pradarshan, ‘mujhe doosron ki baaten karna pasand nahin’ ke avaran men teesron ki baaten, kisi ke saath kisi ke mansik, adhyatmik ya sharirik rishton ka bakhan aadi antheen visay hai unpar charcha hogi fir kabhi……aaj to baat kuchh aaur hi hai……..aek aisi baat jo aap samvedansheel log apne dil ke kareeb payenge.
Han to wakaya aaj ki subaha ka hi hai. Business tycoon Madan Goenka aaur unki dharampatni Mrs Goenka ( kabhi Madhavi kahlati thi), mere kareeb aakar vaishvikaran, vaishavik mandi, Kamala Das Suraiyya ki maut wagerah par charcha nahin karke mujh se kah/pooch rahe the, “ Prof ! Suna aapne Achintyo Ganguly kal chal base……God bestow peace upon the departed soul.”
Main kal sham hi Banglore se Kolkata aaya tha aaur apne cousin ke ghar thehra hua tha…..wahan ke Birla Institute Of Liberal Arts & Management Sciences (BILAMS) men mujhe bolna bhi tha. Kolkata men jab bhi hota hun, Safari Park men subah ki sair mera pasandida shagal hota hai. Achintyo Babu BILAMS men ‘Communication Skills’ ke part time faculty the. Shayad wahan se hone wali aamdani hi unka aekmatra economic support tha. English literature men MA aaur uske baad ‘TS Eliot and Indian Philosophy’ men Phd kiye hue Achintyo babu koyi 50 varshiya bangali bhadralok (gentleman) the. Jaisa ki prayah Bangali budhijiviyon men dekha gaya hai, Achintyo babu bhi sangeet, kavita, boi (books), football aaur jytotish ke shaukin the. Arthik vipannta bhi unki vaicharik uchchta ko nahin gira saki thi. Morning walkers men apne gyan, shaleenta tatha aek aaur baat ke liye Achintyo babu prasidh the.

Wah baat thi unki patni Naboneeta ki asamayik maut ke baad, unka apne apahiz bete Amulyo ka palan-poshan karna.. Amulyo ki umr yahi koyi satarha athahrah ke kareeb hone ko thi. Amulyo cerebral palsy (C.P.) se peedit tha. Aaj se koyi das saal pahile Achintyo babu Amulyo aaur apne chakor (servant) Dulal ko sang liye apni purani Ambassdor se isi Sarari Park ke darwaze par utre the, aaur tabhi se hi subaha ki sair in donon ko saang liye unka aek niyamit karyakalap ban gayi thi. Shuruaat men Amulyo ko Dulal gaud men lakar aek jagha baitha deta tha…… chalna firna Amulyo ke liye namumkin sa tha. Yadi chand feet chalna hota to use chopaye ki tarha donon haath aaur donon pairon ka sahara lena hota tha. C.P. ka koyi bhi sampurna ilaz abhi tak science khoz nahin payi hai….han mussles tatha joints ko thodi flexibility dene ke liye Physical Therapy, thoda medication aaur kabhi kabhi surgery karane ki salah zaroor di jati hai. Achintyo babu Amulyo ko vyayam, yogaasan aevam pranayaam karate. Bahut mehnat karte the Achintyo babu apne is bete par jo bahut hi zaheen, mradu swabhav wala aaur kavi ke roop men ubharne wala kishor tha. Pita ke samarpit prayas phal laye the….Amulyo sahara lekar khada hokar chalne laga tha.
Mera aaur uska aek anaam sa rishta ho gaya tha……wah jitni achhi rachnayen likhta tha utna hi tanmay hokar laybadhtta se unhe ga kar bhi sunata tha. Achintyo babau ne use ‘informally’ padha karitna kabil bana diya tha ki American/English/German aaur Bhartiya sahitya par uski pakad bade bade professors se bhi kahin adhik ho gayi thi. Achintyo babu ne aek shikshak laga kar use computer proficient bhi bana diya tha.

Madhavi (Mrs Goenka) kah rahi thi, ki peechhle saptah Amulyo apni ladkhadati chaal se bina sahare chalne laga tha. Abhi chaar din pahile hi Madhavi ne us.se Ravi babu ki ‘Shesher Kobita’ (Farewell Song) namak kriti par bahut hi vistar se charcha ki thi…. Prem sambandhon ka anupam chitran Ravi Babu ne apni is amar kriti men kiya tha use.se kahin jiyadah sajeev use Amulyo ke prastutikaran ne kar diya tha.
Main jahan soch men dooba hua tha, Madhavi ki aankhen nam thi aaur Madan Goenka na jane kis gambhir chintan men doobe hue the.
Madan Goenka ne apni bharrati si baniya chhap kintu bahut hi dil ko chhunewali awaz men kaha, “ Prof. mere aaur madhavi ke koyi santaan nahin hai, hum kisi ko gaud bhi nahin lena chahte, paisa kamana meri kala rahi hai….aaur isi kalaa men doobne ke liye maine college drop-out bana……aaur Madhavi jo sarsavati ki varad putri hai maa baap ki kamzor maali halat ke karan mujh se baniye ke saath bandh di gayi. Prof main aaj vyavasayik samaj men jin unchaiyon ko chhu raha hun, CII aaur doosre Chambers men padon par kabiz hun, kayiek sarkari samitiyon ka member hun, uski aekmatra wazah mera dhanpati hona nahin baliki Madhavi ka marg darshan hai aaur aap jaise vidvanon ki salahen hai. Main aaj business ke aksharon ke alawa bahut kuchh padhta hun aaur achha khasa bol bhi leta hun. Yah sab Maa Lakshmi ki kripa se nahin Maa sarswati ki maherbani se hua hai. Hum logon ke chale jane ke baad kya hoga is dhan-vaibhav ka…….main chahta hun Amulyo ko aap raji karen ki wah Goenka House men shift kar jaye…..apni sarsawati ki sadhna jaree rakhe….aaur aapke nirdeshan men kuchh aise Projects ki roop rekha bane jo sab ke liye kalyankari ho jaise Research Institute, Vocational Training Center, asadhya rogon ki chikitsa ke liye vishesh hospitals, Medhavi Chhatron ke liye ‘need based’ arthik sahayog ke prakalp aadi. Kya aap is men mera sahyog aek mitra ke naate karenge ?”

Madhavi mujhe asha bhari dristi se dekh rahi thi.
Maine apna pravas char dinon ke liye Kolkata men badha liya. Amulyo ko main Goenka House men liva lane men safal hua aaur shesh prakalpon par bhi kaam shuru kar diya gaya hai.
Han Achintyo babu ne jo kar dikhaya wah aek insan ke dridhsankalp aaur dhyey ke liye samarpan ki kahani hai. Prabhu ne unhe itna ‘task’ diya tha ki Amulyo ko apne paon par khada kardo…fir mere pas lout aana. Aaur yahi hua tha.

No comments:
Post a Comment