Tuesday, April 14, 2009

Baten Mahavir Ki

Param vaigyanik dharma jin dharma
Anekanta shanti ka mantra pramukh
Swasadhna-mahavraton janit shudhi se
Sambhav prapya bhagavatatta ka sukh

Karam-kand,pakhand andh vishvas
Ityadi atiyon men janta jab bharmayi thi
Purushararth ki shiksha sakriya
Vardhman Mahaveer ne farmayee thi

Vivekpurna jivan se hum
Swakalyan swayam kar sakte hain
Sudh bhavna ko apna kaar
Vishva-maitry sambhav kar sakte hain.

Apne sadkram, tyag, tapsya, swadhyay se
Karam kshay kar sakte hain
Vishudh vyaktitav ka nirman karen to
Swayam bhagvan bhi hum ban sakte hain.

Unch neech vriaht-laghu nar-nari bhed mitaye the
Adhyatam uchhta hetu saman avasar sujhaye the
Suksham jeev ko paribhasit kar
“Jeevo aaur Jine Do” ke udghos jagaye the.

No comments:

Post a Comment