Wednesday, May 13, 2009

Future Prospectus : Mulla Ke Gadhe ka Nazariya


Mulla Nasruddin ke gadhe aaur uske fertile dimag se to aap wakif hi hain. Aab yeh na kahiye ‘uske fertile dimag’ likh kar aapne confusiya diya, matlab mulla se hai ya gadhe se. Janab yah naya prayog hai, naya andaz jaise ki communitiyon ke kaviyon ka hota hai, aek shabd ‘uske’ likh diya, koyee gadheka samjhega to koyee mulla ka, aaur koyee teesra hi matlab nikal lega kyonki sab kuchh asapast sa hota hai. Khair jane dijiye. Han to mulla ki entrepreneurship ki instinct to aap jante hi hain, tarha tarha ke dhandhe men haath aajmate rahte hain. Socha forward integration kiya jaye, Gadha tha unke pas, aek gali ka kutta bhi jiske gale men mulla ne patta dal diya tha aaur ‘pet’ bana diya tha.(jaisa ki ajkal neta log dupatta gale men dal bhartiyata ke prateek ban jate hain), aek promising jawan hoti bitiya bhi, aek farzand bhi….baki bhi jugad kar liya sher, hathi, Bandar wagerah ka….aaur Ring master mulla khud the hi.
Gadha mulla ka bahut hi qualified aaur experienced tha. Mulla se pahile aapko maloom hi hai gadha maulavi sahib ke pas tha, pak kitab dhote dhote uska achha khasa experience ho gaya tha, upar se maulavi sahib ki training. Unki sangat men rahte rahte gadha kuchh tute-fute jumale bhi bol leta tha, thodi sher-o-shayari bhi kar leta tha aaur baj waqt joke bhi mar leta tha. Deen aaur imaan ke liye bhi gadha dedicated tha. Aas-pas ke maulaviyon ko kabhi kabhar gadhe ki darker hoti tomulla gadhe ko deputation par bhi bhej deta tha. Urs, mele ityadi ke samay mulla gadhe ko bahir gaon bhi le jata tha…kaha jay gadhe ka overseas type ka exposure bhi tha. Mulla ka beta gym jate jate muscles wala navjawan ban gaya tha aaur hathon aaur bajuon ko thoda dhad se door rakh kar panjo ke bal chalta tha. Aaur mulla ki bitiya, khuda khair kare, St.July school se drop out thi, angrezi madhyam se shiksha prapt-aprapt karne ke karan thodi bahut angrezi men git pit bhi kar leti thi. Hindi/angrezi filmen (coutsey video parlours) dekhne ke karan vitals ko expose karna seekh gayi thi….aaur isi bahane teen char ishk bhi kar chuki thi. Kalu Kutta, bilkul paramhans, bilkul street smart. Mulla ke bare men shayad batane ki jaroorat nahin. To yeh tha mulla ke close associates ka parichay.
Circus project safal raha aaur chal nikla….gaon gaon, kasbe kasbe ghoom ghoom karmulla apna circus dikhane lage. Na jane economic slow down ka asar tha ya Maneka Gandhiwadiyon kapashu prem ka, mulla ka circus dheela padne laga….kayi mulla ko chhod gaye aaur kayiyon ko mullane pink slip de di. Aab ho gaya mulla ka circus aek sau taka family enterprise. Gadhe ko bhi logon ne samjhaya ki bhai aab ‘change’ kar lo, head hunters ke pas jana aana shuru kardo, naukari.com ya monster.com men arji dal-na shuru kar do…..magar gadha to gadha aaur wah bhi mulla kagadha….mand mand muskura kar chup ho jata aaur na jane kin khwabon men kho jata. 
Aek din aek head-hunter puchh baitha, “Bhai gadhe, noukari men rahna aaur chhodna tumhara masla hai. Maine bahut gadhe dekhe magar tujh sa kahin nahin dekha, mulla se maar khate ho, mulla ki galiyon bhari galeez jhad bhi sun-te ho, colleagues bhi tum ko hikarat bhari nazron se dekhte rahe hain, company (circus) ke alawa mulla ke personal kam bhi karte ho, package(tankhwah aaur facilities) bhi tumhari market norm se aadhi bhi nahin hai, tum koyee mamuli gadhe nahin ho, you are a gadha well qualified and experienced having adequate exposure,….itna achha resume hai tumhara. Bas mujhe to personally aek sawal ka jawab chahiye, offcourse nothing to do with my profession, bas academic interest ke liye curious hun.”

Gadha sab sun kar phool kar kuppa ho gaya, kahne laga, “Sir, no probs, puchhiye na.”

Head Hunter Bola, “Sab ke bavzood aap mulla ke pas kyon continue kar rahe hai?”

Gadhe ne jor se Baba Ramdev style saans li, aaur Business Channel men dikhnewale suit-tie-dhariyon ki tarha chaba kar bola, “ It’s furute prospects, you know.”

Head Hunter bola, “ Would you explain it for me, jara tafsheel se bataiye na.”

Gadha laga kahne, “ Sir jab se circus shuru hua hai, Mulla apni beti se kahta hai, is bar aisi galati ki to teri shadi is gadhe se kara dunga. You see perseverance/dhairya is the mantra. Main bear with the situation kar raha hun. Optimist hun, ashavadi hun. Ho sakta hai, kabhi mulla is decision ko firm up kar de aaur mera sapna sakar ho jaye. Therefore sir ! this is simply future prospects…bhavisya men tarakki ki sambhavna. Ho sakta hai mulazim se damaad ban jaun. Bas yahi karan hai mere yahan continue karne ka.”

Head Hunter jo kisi videshi university se specialization kar ke janani janm-bhumi ko louta tha, hakka bakka rah gaya, uske academics men izafa ho gaya tha, magar future prospects ki is anuthi case study se thoda cofusiya gaya tha.

No comments:

Post a Comment