Wednesday, May 13, 2009

Kissa Mulla Ke Farzand Ka


Aajkal ke rawaz ke mutabik Mulla ne apne aeklote farzand Gaysuddin ko Mohalle ke English Medium School affiliated to ICSE men dakhil kara diya. Kahan madarse ke usttaji ka andaz, dheele dhale kapde, aayten rattna ya urdu men Bakri par lekh likhna, takhti aaur khadia....aaur kahan is 'St. July' school men desi mastarni ki angrezi gitpit, tie se bandha gala, peeth par bore ki tarha ladne wala basta, pencil rubber wagerah.
Han to angrezi kam jane ya jiyadah khandani intelligence to Gayasuddin ko Mulla se mili hi thi, aisamulla ka soch tha.

Aek din class men bola gaya, "Pencil aaur kagaz uthao Gaysu ! essay likho - 'If I am a Millionaire' you understand." 

Jaise taise Gayasu Shab dwara maloom kiya gaya ki Millionaire karorepati ko kahte hain. Aab Gayasu ke liye to essay easy ho gaya tha. Likh dala kisi tarha unwan 'IF I AM A MILLIONAIRE'.

Aaur uske baad Gayasu khayalon men patang udane lage ya nayi biyahi kutiya ke bachchon ke bare men yojnayen banane lage, ya girgit kaise pakdenge us par sochne lage. Gayasu ko gum sum chup chap pencil kagaz aek taraf rakhe dekh, Mastarni ne kaha, "Gayasu Kya hua tum likh nahin rahe ho."

"Aab Secretary ka intezar kar raha hun, aage usi ko to likhna hai." Bola Gayasuddin.


Mulla ke saale dar-asal industrialist the, aaur Gaysu ko mamu-jaan ki sab harkaten maloom thi.....achha hua usne bas unwan hi likha, aaur secretary ka intezar kiya nahin to Oscar Award potential wali filim ke liye aek pat-atha taiyar ho jati.

No comments:

Post a Comment