Wednesday, May 13, 2009

Kissa Mulla ke Farzand Ka : Valentine Day Special


Aajkal ke rawaz ke mutabik Mulla ne apne aeklote farzand Gaysuddin ko Mohalle ke English Medium School affiliated to ICSE men dakhil kara diya. Kahan madarse ke usttaji ka andaz, dheele dhale kapde, aayten rattna ya urdu men Bakri par lekh likhna…. dooj ko chand aisa kyon hota hai ? ya khazoor kahan paida hote hain ? jaise sawalon ke jawab dena… takhti aaur khadia....aaur kahan is 'St. July' school men desi mastarni ki angrezi gitpit, tie se bandha gala, peeth par bore ki tarha ladne wala basta, pencil rubber wagerah.

Han to angrezi kam jane ya jiyadah khandani intelligence to Gayasuddin ko Mulla se mili hi thi, aisamulla ka soch tha.

Madarase men Eid, Azadi ka Din yane 15 August, Gantantra Diwas yane 26 January, Gandhi jayanti yane 2 Oct, Childern’s day yane bachchon ka din yane 14 Nov wagerah manaye jate the. Aaur is deshi angrezi school men Good Friday aaur X’mas manaye jate the aaur baten V.Day ki bhi hoti thi.

Aaj hi ki baat hai. 14 February yane Valentine Day. Aek chulbuli ‘Miss’ ne class test men aek sawal puchh dala : Valentine day (14 February) kyon manaya jata hai. Gayasu thehra deshi bachcha, usne Laila-majnun, Siri-Farhad, Heer-Ranjha ki baten suni thi kintu pyar mohabbat ke mahan sant St.Valentine ke babat uski jankari nahin thi. Magar Gayasu ke gens men intelligence to koot koot kar bhari thi, muamala heredity ka, aakhir beta Mulla Nasrudin ka…so jawab diya bilkul sateek jaisa ki koyee koyee commentator meri tukbandi ya bina bandi nazmo ke liye kah deta hai pind chhudane ke liye. Han to Gayasu ki performance ka kamal dekhiye :

Question by Miss Julie, “ Valentine Day kyon manaya jata hai ?”

Answer by Gayasuddin wald Nasrudin, “ Kyonki 14 February (Valentine Day) ka din 14 Nov (Children’s day) se theek nou (9) mahine pahile aata hai…Love aaur Child ka taullak.”

Is sateek uttar ko jan Miss Julie yatharthvadi kavita sa anand lene lagi….chahe aek dafa sir thonka ho to kiya.

No comments:

Post a Comment