Wednesday, May 13, 2009

Jab Mulla ne Khuda Ko Manage kiya.......


Kayee sanjida shayar likha karten hain ki naven kanaron pe doobati hai, manjhdar men nahin. Kaise doobe koyee nav manjhdar men, insan wahan alert hota hai aaur kinaron par aate aate beparvah ho jata hai. Yahan tak ki manjhdar aaur kanaron ke beech khuda se bhi chalaki kar li jati hai.

Insan aek se badh kar aek chalak hoten hai, jaise ki Ramlinga Raju (Satyam fame), in words ko post karnewala jo kahin ki int kahin ka roda juta kar imarat bana deta hai, aaur hamare Param Pujaya MullaNasiruddin, jo hamesha se hi hamare prerana ke srot rahen hain. Bahut he great manipulator rahen hain hamare mulla sahib, agar "Raju 'Zootam' ne unhe bataur consultant rakha hota to 'confession' nahin karna hota aaur 
na hi shayad bhagwan krishna ki janm bhoomi (Mathura nahin Hyderabad ki jail) ki yatra karni hoti. Khair Mulla ke skill ka aek presentation kiye dete hain, baz waqt kaam aaye.

Mulla Nasiruddin bahut sarmaya kama kar samudri marg se muluk ko lout rahe the. Beech manzdar men uska jahaj doobne laga. Titanic ke jaise akhati halat ka ehsas hone laga. Laga aab doobi......tab doobi. Jab tak bharosa tha usne "Shiv Khera' ya "Deepak Chopra" ki baton ko yaad kiya, ya Robin Sharma ki best sellers men padhe gyan ko socha. Magar jab naiya doobne lagti hai 'practical' men to yah sab gyan lupt ho jaten hain, koyee kaam ke nahi rahte, bas baad men after thought ke basis par case study taiyar kar li jati hai. Khair, Mulla ka jahaj doobne ko aaya aaur mulla ghabra rahe hain.

Kisi ne kaha ki khuda ko apni sabse azeez cheej ko bhent kar dene ka wada kar lo, ho sakta hai ki sankat ki ghadi tal jaye. Mulla thahre khalis hindustani, jahan har cheej khuda ke karam se hoti hai ya Ram Bharose hoti hai. Sochne lage imandaari se, khuda band tala ko kya bhent kiya jaye. Khayal aaya unhe apni Seccunderabad ki Kothi bahut azeez hai, jo unhe jaan se bhi jiyadah pyari hai. Jahan ki architectural beauty kuchh alahada hi hai, aaur interiors to bahut hi tasteful, vastu ki drishti se bhi bahot sateek,. aaur Mulla ke liye subh bhi. Isiliye to mulla badi se badi keemat par ise bechne ko taiyar nahin hote the. Even, bade bade Raje-maharajaon, India Inc. ke nami sarmayadaron, politicians, priests, NRIs ne astronomical price ke offer bhi diye the magar mulla ne is kothi ko kabhi nahin becha.

Mulla ne khuda ko yaad kiya aaur kaha, " Hey Parvardigar, mujhe is musibat se nikalo, mere jahaj ko bacha lo, mujhe khiariyat se may maal-asbab apne ghar pahuncha do. main apni Seccunderabad wali kothi ko bech dunga, aaur uski jo keemat hasil hogi, wah paisa garibon men khairat bant dunga.....he allah mujhe bachalo." 

Kudarat ka karishama aisa hua ki, toofan tal gaya. Jahaj bachne ke aasar nazar aane lage balki yun kahiye jahaj dheere dheere kanare ki janib badhne lagi. Humsafar wellwishers ne bhi kaha aaur Mulla ne bhi socha, aab to ghar pahunch kar khuda se kiya wada pura karna hoga, kothi ko bech kar 'charity' karni hogi. Unke PA ne kaha, "Mulla aab ?" Mulla kahne laga, " Ghabrao mat, jis budhi se ibadat aaur uska ahad nikla hai, wahi budhi is ka kuchh toud bhi nikalegi." Mulla ko aab kothi dena nagwar gujar raha tha...khaskar jab ki puri 'sale-proceeds' ko khairat men bantana hoga.

Mulla laga kahne, "Khuda itni aasani se mujhe nahin loot sakta. Aab kinara aa gaya hai, dekh lenge."

Aaur Seccunderabad pahunch kar mulla ne media men flash kar diya ki mulla ki kothi agle din neelam honi hai, jo bhi keemat milegi usko charity kiya jayega. Khariddar bhi apna home-work karne lage, aaur NGOs ki bhi aaplications aane lagi.

Neeyat waqt par karid-dar apne apne advisers/solicitors/consultants ko lekar kothi par hazir ho gaye. Wahan dekhten hain ki, kothi ke bahar aek bahut hi sundar sangemarmar ka khamba hai, aaur us ke saang aek billi bandhi hui hai. Mulla ne package announce kiya ki neelami kothi plus billi ki hai. Kothi ki price settled hai 100 rupaiya, aaur billi ki minimum 100 Lakh rupaiya, usse jiyadah boli laganewale ko milegi, billi may kothi. Billi aaur kothi aek package hai, deal dono ki combined hi hogi.

Logon ne kaha mulla ne to bada tamasha kiya aaur raste ki billi ko pakad kar is khambe par bandh diya, aaur mega stores ki tarha kothi ke saath package bana dala.

Kharid-daron ne socha humen kya matlab ki price break-up kya hai. Billi ke saath kothi hai, to billi ki hi boli lagayi jay. Billi ki highest bid 120 lakh Rupaiya hui, aaur bid lagane wale ko 120,00,100 Rupaiyon men kothi aaur billi mil gayi. Mulla ne 120 lakh Rupaiya apni bank men dala aaur 100 rupiyon ki khairat gareebon men kar di.

Mulla ne bahut hi chaturayee se khuda ko diya apna wada bhi nibha diya aaur apne 'interest' ko bhi 'protect' kar liya.


To is tarha, mulla ne khuda ko bhi manage kar liya. Mulla bahut hi 'famous' ho gaye aaur jis tarha Lalooji ko desh videsh ke Business Schools vykhyan dene ke liye, inter-action ke liye bulate hain, usi tarha Mulla Nasiruddin bhi kayee institutes men guest faculty hai.

No comments:

Post a Comment