Thursday, October 1, 2009

मानव और मधुमक्खी/ Manav Aur Madhumakkhi......

..

रंग रूप
स्वाद सुगंध को
जकड़ कर
नामों की जंजीरों में
समझ रहा है मानव
कालजयी
शोधक
स्वयम को............

नहीं समझ पा रहा
जड़मति
ठिठौली की है प्रकृति ने
उसके साथ
दिखाया है उसको
भिन्न भिन्न
गुलाब और आक का गात.......

नन्ही सी मधुमक्खी
नहीं है भ्रमित
आकार में प्रकार में
अलग अलग
रूप और व्यवहार में
उसे तो तलाश है
मधु की
जो छुपा है दोनों में
नहीं जाननी
जात उसको
आक और गुलाब की..........

पहुंचता वही है
सही जगह
जो लगाता है चित्त
शोध और बोध में,
पा जाती है सार
मधुमक्खी,
उलझा रहता है
मनुज
बुद्धि विलास
सतही आमोद
और प्रमोद में........
..
Rang roop
Swad sugandh ko
Jakad kar
Naamon kee zanzeeron men
Samajh raha hai manav
Kaaljayi
Shodhak
Swayam ko........

Nahin samajh pa raha
Jadmati
Thithauli ki hai
Prakriti ne
Uske saath
Dikhaye hain usko
Bhinn bhinn
Gulab aur aak ke gaat.......

Nanhi si madhumakkhi
Nahin hai bhramit
Aakar men prakar men
Roop aur vyavhaar men
Use to talash hai
Madhu ki
Jo chhupa baitha hai
Donon men
Nahin janni jaat usko
Aak aur gulaab ki.........

Pahunchata wahi hai
Sahi jagah
Jo lagata hai chitt
Shodh aur bodh men,
Pa jati hai saar
Madhumakkhi,
Uljha rahta hai
Manuj
Buddhi vilaas
Satahi aamod
Aur pramod men.....



No comments:

Post a Comment